PARVEEN SHAKIR POETRY

PARVEEN SHAKIR POETRY


Kon chahey ga tumhe meri tarah.

Kon chahey ga tumhe meri tarah,
Ab kisi se na mohabbat karna..

Bohat se log they mehmaan mere ghar lekin.

Bohat se log they mehmaan mere ghar lekin,
Wo janta tha k hey ehtamam kis k liye..

Marney se bhi pehle mar gaye they.

Marney se bhi pehle mar gaye they,
Jeeney se kuch aese dar gaye they,
Rastey mein jahan talak diye they,
Saarey mere hamsafar gaye they,
Aankhain abhi khul nahin saki thi’n,
Aur khawb mere bikhar gaye they,
Jab tak na khila tha us ka waada,
Mausam mere be’samar gaye they,
Ab tak wohhi nasha e paziraayi*,
Kya jaaniye hum kidhar gaye they..

Rasta hi neya hai, na main anjaan bohat hoon.

Rasta hi neya hai, na main anjaan bohat hoon,
Phir kuye’malaamat mein hoon, nadaan bohat hoon,
Ik umar jisey khawab ki manind hi dekha,
Chooney ko mila hai to pareshaan bohat hoon,
Mujh mein kabhi aahat ki tarah se koi aye,
Ik band gali ki tarah sunsaan bohat hoon,
Uljhen ke keyi baar abhi lafz se mafhoom,
Saada hai bohat woh, na main asaan bohat hoon..

...........................